Main $EVAA ko observe kar raha hoon aur mera isay short karne ka plan hai. Lekin meri short entry 3.34 ya phir 3.99 se hogi. Is se pehle meri short karne ki koi planning nahi hai.

3.99 wali price ko main DCA ke liye use karunga, agar price wahan tak pohanchti hai. Aur agar mujhe 3.34 se entry mil gayi, toh main apne chatroom ke andar signal share kar dunga.

Mujhe lagta hai ke is coin mein downside ki taraf achha momentum dekhne ko mil sakta hai.

Is trade ke liye mera Stop Loss 4.298 hoga.

Filhal main is par koi signal share nahi kar raha. Abhi sirf price movement observe kar raha hoon aur sahi entry ka wait karunga. Agar entry milti hai, toh main chatroom mein proper signal share kar dunga.