Day 3 - SOL 81$ Pe Aa Gaya, Phir Bhi Trade Nahi Ki

Day 3 - Aaj bhi maine koi trade nahi ki.

Kal SOL 85$ pe tha, aaj 81$ pe aa gaya hai.

Mera plan tha ke $10-$10 karke 82, 78, 74 pe khareedunga.

Ab dekho, 82 wala level to toot gaya. Dil ne phir kaha "Abhi le le, sasta ho gaya hai".

Lekin maine phir bhi trade nahi ki. Kyunki mera wada 7 din no trade ka hai.

Plan banana aasan hai, plan pe rukna mushkil hai. Aaj maine wohi mushkil kaam kiya.

Chart me dekho, SOL 89$ se seedha 81$ pe aa gaya hai. Ab mera next level 78$ hai.

Tum kya karte is jagah pe? Rukte ya le lete?

#SolanaUSTD #Crypto #TradingPsychology #NoTradeNoLoss