BTC: $77,777 (-4.2%) - Kal $81,800 tak tha, raat ko Binance hack ki news par $77,646 low aya. 6 hafte ka sab se low. Support $77,500 ab sab se important hai.

ETH: $2,249 (-4.6%) - $2,371 se gir ke $2,238 low aya, 2 mahine ka low. Panic sell nahi karna, network safe hai.

BNB: $697 (-8.1%) - Sab se zyada gira hai kyunki hack Binance par hua hai. $688 tak low aya tha. Binance ne withdrawals rok diye hain lekin Yi He ne kaha hai "user funds safe hain, sara loss company cover karegi."

kya hua? Binance par history ka sab se bada hack hua hai ∼$5.7 Billion ka. Hacker ke wallet me $1.5B BTC aur $900M ETH bataye ja rahe hain. Isi wajah se poora market red hai - 35 coins down hain.

Ye exchange ka issue hai, BTC ka nahi. Agar aapka coin Binance par para hai to ghabrana nahi, Binance ne SAFU fund se cover karne ka bola hai. Dip par panic sell mat karo.