Kya aap ko yaad hai wo din jab $LUNC $119 par tha? Phir 2022 me UST crash ne poori market ko hila diya. $40 Billion khatam ho gaya. Logon ne kaha LUNC khatam hai.
Lekin LUNC khatam nahi hua.
Aaj LUNC ki price ~ $0.000049 hai. Market Cap ~ $270M hai. Aur Circulating Supply ~ 5.52 Trillion hai.
Toh ab kya ho raha hai?
1. BURN CHAL RAHA HAI
Har transaction par burn hota hai. Binance bhi apni fees ka 50% burn karta hai. Ab tak 80 Billion se zyada LUNC burn ho chuka hai. Supply kam hogi toh price par pressure kam hoga.
2. COMMUNITY ABHI BHI ZINDA HAI
LUNC ki sab se bari taqat uski community hai. Har dip par log buy karte hain. Har burn news par volume barhta hai.
3. TECHNICAL LEVEL
Support: $0.000035 - $0.000038
Resistance: $0.000055 - $0.000057
Agar $0.000057 break hua toh next target $0.000077 hai.
Agar $0.000035 toot gaya toh $0.000028 tak gir sakta hai.
Meri Sachi Raye:
LUNC $1 nahi jayega, ye sach hai. 5.52 Trillion supply ke saath $1 ke liye $5.5 Trillion chahiye. Lekin $0.0001, $0.001, $0.01 tak jana abhi bhi possible hai agar burn isi tarah chalta raha.
Ye coin lottery ticket jaisa hai. Zyada paisa mat lagao. Sirf utna lagao jitna loss bardasht kar sako. Lekin isko ignore bhi mat karo.
Aap kya sochte ho? LUNC wapis upar jayega ya yehi iski kahani khatam hai?
Comment me batao 👇
#LUNC #TerraClassic #LunaClassic #Crypto #Binance
