#GOLD_UPDATE
> *Gold Ne 2 Din Me Rs 9,100 Ka Jump Mara! Ab Kya Hoga?*
>
> Pichle hafte sab dar gaye the, Gold gir ke $3,502 tak aa gaya tha.
> Lekin jinhon ne sabar kiya, unko faida hua.
>
> *Aaj ka Rate:*
> Pakistan me 1 Tola Gold: *Rs 385,436*
> International me: *$3,619*
>
> *Meri Soch Kya Hai?*
>
> *1. Kal Sab Se Bara Din Hai*
> Kal US ki Inflation report aayegi. Agar wo zyada aayi to Gold neeche jayega, agar kam aayi to Gold $3,700 tak ja sakta hai.
>
> *2. Gold Me Panic Trade Mat Karo*
> Gold bahut tez bhagta hai. Bina Stop Loss ke Gold me trade karna matlab apna account khatam karna hai.
>
> *3. Mera Plan*
> Me kal ki news ka wait karunga, phir soch samajh ke trade karunga.
>
> Tum kya sochte ho? Gold upar jayega ya neeche?
> Comment me apni prediction batao.
>
> #Gold #XAUUSD #GoldPrice #WriteToEarn #BinanceSquare #Trading