> *Maine $30 Se Trading Start Ki, Aur Maine Ye 3 Galtiyan Ki!*
>
> Sab log kehte hain trading se paisa banta hai, lekin koi ye nahi batata ke shuru me paisa kaise doobta hai.
>
> Maine apne $30 se ye 3 galtiyan ki, tum mat karna:
>
> *1. Bara Leverage Lagaya*
> Maine socha jaldi ameer ho jaunga, 1:500 leverage lagaya. Market thora sa neeche aaya aur mera account almost khatam.
>
> *2. Stop Loss Nahi Lagaya*
> Socha market wapas aayegi, nahi aayi. Ek trade ne sara profit kha liya.
>
> *3. Har Waqt Trade Ki*
> Jab bhi mobile khola, trade kar di. Trading me sabar hi sab kuch hai.
>
> Ab maine seekh liya hai, chota lot, chota leverage, aur sabar.
>
> Tumne trading me sab se bari galti kya ki thi? Comment me batao.
>
> #BTC #Trading #WriteToEarn #Crypto #BinanceSquare #BTC #NVIDIAReinstatesJensenHuangasCEO