Trading Me Jeetne Ka Asli Raaz*
Trading me 90% log isliye haarte hain kyunki wo seekhne se pehle kamane aate hain.
Yaad rakho 3 baatein:
*1. Risk Chota Rakho*
Ek trade me apne paisay ka sirf 1-2% risk lo. Bina SL ke kabhi trade mat karo. SL tumhara dushman nahi, bodyguard hai.
*2. FOMO Se Bacho*
Jo candle nikal gayi wo gayi. Uske peeche bhago ge to top pe phas jaoge. Agli achi entry ka wait karo.
*3. Sabar Karo*
Acha trader din me 1-2 trade karta hai, kabhi 0 bhi. Jo bar bar trade karta hai wo trader nahi, gambler hai.
$BTC ho ya $ETH, rule sab ke liye ek hi hai:
Seekho > Sabar Karo > Chota Risk Lo
Market kal bhi rahega, pehle apna paisa bachao.
Tum sab se zyada konsi galti karte ho?
1. Bina SL wali trade
2. FOMO wali entry
3. Revenge trade
Comment me 1, 2 ya 3 likho 👇
$BTC $ETH $SOL
ng #BTC #Crypto #Binance

