Yar $BTC ne sab ko dara diya 😅

Dekho chart me, 2 din pehle $84,875 tak gaya tha, wahan se seedha neeche $80,461 tak aa gaya. Abhi $80,908 pe hai.

Meri nazar me simple hai, jab tak $80,400 ka level bacha hua hai tab tak darne wali baat nahi. Yahan se buyer wapas aayenge. RSI bhi 41 pe hai, matlab thanda ho gaya hai, bikne wala zyada maal bik chuka hai.

Me yahan se thora le raha hun, $80,400 ke neeche stop rakha hai. Upar $82,300 tak wapas ja sakta hai jaldi.

Tum kya kar rahe ho is time, buy ya wait kar rahe ho?

Follow kar lo Main ,roz aisi real chart wali update dunga.

#BTC #Bitcoin #Crypto #Trading #BTCUSDT.