*Title: Kya SOL Coin Wapsi 102 Se 120 Tak Jaye Ga? Kya SNXX 14 Se 20 Tak Jaye Ga? Aap Kya Kehte Ho?*
@Diamond Hayles fyVC
Crypto market mein aaj zabardast halchal hai. Pichle 24 ghanto mein zyada tar coins red mein hain, lekin traders ki nazar 2 coins par hai, SOL aur SNXX.
writer Sahil-Sindhi

Agar baat karein Solana (SOL) ki, to is waqt price *112.40 USDC* ke aas paas hai jo ke -3.21% neeche hai. Sainn aap ne sahi note kiya, SOL 120 se gir kar 102 ke support tak aaya tha aur ab dobara 112 par hai. Experts ka kehna hai ke 102 SOL ke liye bohat strong support hai. Agar SOL 105 se upar tikta hai to iski wapsi 120 tak mumkin hai, kyunki Solana ka network aur uske projects abhi bhi bohat strong hain. Lekin agar Bitcoin neeche aaya to SOL dubara 102 ko test kar sakta hai.

Dusri taraf SNXXUSDT is waqt *14.88 USDT* par hai, -3.69% down hai. Ye coin haal hi mein list hua hai aur isme volume bohat zyada hai, lagbhag 315M USDT. Sainn 14 ka level iske liye support bana hua hai. Agar ye 15 dollar ko cross karta hai to agla target 18 se 20 dollar tak ho sakta hai. Lekin ye naya aur high risk coin hai, isme pump aur dump dono tez hote hain.

Overall market abhi correction mein hai. Meri raye mein SOL ka 120 tak jana zyada asaan hai banisbat SNXX ke 20 tak jana ke, kyunki SOL ek bara aur purana project hai.

Ye financial advice nahi hai, sirf news aur tajziya hai.

Aap kya kehte ho sainn, SOL 120 jayega?