BTC 2026: Kya Bitcoin Ab $120K Tak Jayega?
Post Body:
Doston, Bitcoin ne is mahine phir se sab ko heran kar diya hai.
Meri nazar me 3 waja hain jo BTC ko upar le ja rahi hain:
1. Halving ka asar abhi bhi jari hai, supply kam hai
2. Bade investors (ETF) roz BTC khareed rahe hain
3. US me interest rate kam hone ki umeed hai
Lekin short term me thoda correction bhi aa sakta hai. Jo new log hain wo hamesha yaad rakhen, FOMO me sab paisa ek sath mat lagayen. DCA best hai.
Aapka kya khayal hai, $BTC is saal 120K touch karega ya nahi? Comment me bataen.
